Saturday, February 5, 2011

Main pal do pal ka sayar hu


Main pal do pal ka shayar hu !
pal do pal mere kahani hai !

pal do pal mere hasti hai !
pal do pal mere jawani hai !

mujh se pahle kitne shayar !
aaye or aaker chale gaye !

kuch aahe bhar kar laut gaye !
kuch nagme gaakar chale gaye !

wo bhi ek pal ka kissa they !
main bhi ek pal ka kissa hu !

kal tumse juda ho jaaunga !
jo aaj tumhara hissa hu !

kal aur aayenge nagmo ki !
khilti kaliya chunne waale !

mujh se bahtar kahne waale!
tumse bahtar sunne waale!

kal koi mujh ko yaad kare !
kyo koi mujh ko yaad kare !

masroof zamana mere liye !
kyo waqt apna barbaad kare!

main pal do pal ka shayar hu !
pal do pal mere kahani hai !

pal do pal mere hasti hai !
pal do pal mere jawani hai !

0 comments:

Post a Comment

wibiya widget